Sad Urdu poetry for lovers who fails to run this process of
love more in their life so they can get the joy from thee poetry and stay with
these poetry. So let’s see Urdu sad romantic poetry here which are awesome for
you peoples. Enjoy it and share it as will. So let’s see sad Urdu poetry here.
see also Alama Iqbal Shyari
Bahar bi ab andar jaisa sanata hain
darya ke us paar bhi gehra sanata hain
Kis se bolon yeh thoh
ek sehra hain jahaan pr
main hun ya phir gonga behra sanata hain
Jaisey ek thoofaan se
pehley ki khamoshi,
aaj meri basthi mein aisa sannaata hain
Nayi seher ki chaap na jaaney kab ubregi,
chaaron jaanib raath ka gehra sannata hain
Soch rahey ho socho leken bol na parna,
dek rahey ho sheher mein kithna sanata haih
Hearted Sad Urdu Poetry
Mehv-e-khwaab hain saari dekne wali ankain
Jaagney wala bas ek
andha sanata hain
Darna hain toh anjaani aawaaz se darna,
ye thoh ‘aanis’ deka baala sanaata hain
Woh kuch gehri soch mein aisey doob gaya hain
betney betaney nadii
kinarey doob gaya hain
Aajj ki raath na jaaney
kithni lambi hogi
aajj ka sooraj shaam se pehley doob gaya hain
Woh jo pyaasa lagtha tha sailaab-zada tha,
paani paani kehthey
kehthey doob gaya hain
Mere apney andar ek
bhanwar tha jis mein,
mera sab kuch saath hi mere doob gaya hain
Shor thoh u utha tha jaisey ek thoofaan ho,
Sanaattey mein
jaaney kaisey doob gaya hain
sad Urdu poetry
Aakhiri khwahesh poori kr ke jeeney kaisa
Aanis bhi saahil thak
aa ke doob gaya hain
Ki zindagi theri
zulfon ki naram chhaaon mein
Guzrney pati thoh
shaadaab ho bhi saktihi thi
Yeh theeragi jo meri zeesth
ka muqaddar hain
theri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakthi thi
Ajab na tha ki main begaana-e-aalam ho kar
theri jamaal ki raanaaiyon mein kho rehtha.
Thera gudaaz badan, theri neembaaz aanken
inhi haseen fasaanon mein mahv I ho rehtha.
Pukaarthi mujey jab
thalkhiyaan zamaaney ki,
Therey labon se
halaavath ke ghoont pee letha
Hayaath cheekhthi phirthi barhana- sar aur me
ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee letha
sad Urdu poetry
Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
ki thu nahi thera
gham theri justhajoo bhi nahi
Guzar rahi hain kuchh is tharah zindagi jaisey
isey kisi ke sahare ki aarzoo bi nahi
Zamaane bar ke dukon ko laga chukka hun galey
guzar raha hon kuchh anjaani rah-guzaaron se
Muheeb saaye meri simt badhte aathey hain
hayaath-o mauth ke purhaul khaarzaaron se
Na koi jada, na manzel, na roshni ka suraakh
batak rahi hain khalaaon mein zindagi meri.
Inhi khalaaon mein reh jaunga kabi ko kar
main jantha hun meri hum-nafas magar u hi
Shabnam ke aansoo pool par ye thoh wahi qisssa howa,
aanken meri bheegi hoi chehra thera uthra howa.
Ab in dino meri ghazal khushboo ki ek thasveer hain
har lafz gunchey ki
tharah khil kar thera chehra howa
Shayad usey bi le gaye achchhe dino ke qafiley
Is bagh mein ek pool tha theri tharah hanstha hua
Har cheez hain bazaar mein is hath de us haath ley
Izzath gai, shohrath
gai, ruswa howe, charcha howa.
Anmol mothi pyar ke dunya chura kar le gai,
dil ki havelee mein koi darwaza tha toota howa
Barsaath mein deewar-o-dar ki saari thahreeren miti
dhoya bahuth mita nahi thaqdeer ka lika howa
sad Urdu poetry
Woh meri qasam letha nahi ilzaam samaja kar
aur de detha hain apni qasam inaam samaj kar
Woh jaantha hain mujhey
uss se kithni mohabbath hain
phir bhi gufthgoo kartha hain anjaan samajh kar
Mainey usey apni dil ki dhadkan mein basaaya hain
aur woh dil mein raktha hani mujhey mehmaan samajh kar
sad Urdu poetry
Agar usey hum se mohabbath
nahi thu na sahi
Magar Q ilzaam detha
hain gumnaam samaj kar.
Meney apni saari
khushiyaa usss k naam kar di
Or woh humen pyaar kartha hain ehsaan samaj kar
Ek baath honton thak hai jo aayi nahi
Bas aankon se hain jhaankthi..
Thum se kabhi.. Muj
se kabhi,
Kuchh lafz hain woh maangth
Jin ko pehen ke honton thak aa jaaye woh
Aawaz ki baahon mein baahen daal ke itlaaye wo
Lekin jo ye ek baath
haih
Ehsaas hi ehsaas han
Khushboo si hain jaise hawa mein thairthi,
Khushboo jo be-aawaaz hain
Jis ka pathaa thum ko bhi hain
Jis ki khabar muj ko bhi hain
Dunya se bhi chhuptha nahi
these were the Hearted Sad Urdu Poetry stay with us for more
updates in this article post.
Comments
Post a Comment