Hearted Sad Urdu Poetry

Hearted Sad Urdu Poetry



Sad Urdu poetry for lovers who fails to run this process of love more in their life so they can get the joy from thee poetry and stay with these poetry. So let’s see Urdu sad romantic poetry here which are awesome for you peoples. Enjoy it and share it as will. So let’s see sad Urdu poetry here.

sad poetry



shayari urdu

urdu poetry sad
see also Alama Iqbal Shyari



poetry pic








Bahar bi ab andar jaisa sanata hain
darya ke us paar bhi gehra sanata hain

Kis se bolon yeh  thoh ek sehra hain jahaan pr
main hun ya phir gonga behra sanata hain

Jaisey  ek thoofaan se pehley ki  khamoshi,
aaj meri basthi mein aisa sannaata hain

Nayi seher ki chaap na jaaney kab ubregi,
chaaron jaanib raath ka gehra sannata hain

Soch rahey ho socho leken bol na parna,
dek rahey ho sheher mein kithna sanata haih
Hearted Sad Urdu Poetry
Mehv-e-khwaab hain saari dekne wali ankain
Jaagney  wala bas ek andha sanata hain

Darna hain toh anjaani aawaaz se darna,
ye thoh ‘aanis’ deka baala sanaata  hain

Woh kuch gehri soch mein aisey doob gaya hain
betney betaney  nadii kinarey  doob gaya hain

Aajj ki raath na jaaney  kithni lambi hogi
aajj ka sooraj shaam se pehley doob gaya hain

Woh jo pyaasa lagtha tha sailaab-zada tha,
paani paani kehthey  kehthey  doob gaya hain

Mere apney  andar ek bhanwar tha jis mein,
mera sab kuch saath hi mere doob gaya hain

Shor thoh u utha tha jaisey ek thoofaan ho,
Sanaattey  mein jaaney  kaisey  doob gaya hain
sad Urdu poetry
Aakhiri khwahesh poori kr ke jeeney  kaisa
Aanis  bhi saahil thak aa ke doob gaya hain

Ki zindagi theri  zulfon ki naram chhaaon mein
Guzrney  pati thoh shaadaab ho bhi saktihi thi

Yeh theeragi jo meri zeesth  ka muqaddar hain
theri nazar ki shuaaon mein kho bhi sakthi thi

Ajab na tha ki main begaana-e-aalam ho kar
theri jamaal ki raanaaiyon mein kho rehtha.

Thera gudaaz badan, theri neembaaz aanken
inhi haseen fasaanon mein mahv I ho rehtha.

Pukaarthi mujey  jab thalkhiyaan zamaaney  ki,
Therey  labon se halaavath ke ghoont pee letha
Hayaath cheekhthi phirthi barhana- sar aur me
ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee letha
sad Urdu poetry
Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
ki thu nahi  thera gham theri justhajoo bhi nahi
Guzar rahi hain kuchh is tharah zindagi jaisey
isey kisi ke sahare ki aarzoo bi nahi


Zamaane bar ke dukon ko laga chukka hun galey
guzar raha hon kuchh anjaani rah-guzaaron se
Muheeb saaye meri simt badhte aathey hain
hayaath-o mauth ke purhaul khaarzaaron se


Na koi jada, na manzel, na roshni ka suraakh
batak rahi hain khalaaon mein zindagi meri.
Inhi khalaaon mein reh jaunga kabi ko kar
main jantha hun meri hum-nafas magar u hi


Shabnam ke aansoo pool par ye thoh wahi qisssa howa,
aanken meri bheegi hoi chehra thera uthra howa.

Ab in dino meri ghazal khushboo ki ek thasveer hain
har lafz gunchey  ki tharah khil kar thera chehra howa

Shayad usey bi le gaye achchhe dino  ke qafiley
Is bagh mein ek pool tha theri tharah hanstha hua

Har cheez hain bazaar mein is hath de us haath ley
Izzath gai, shohrath  gai, ruswa howe, charcha howa.


Anmol mothi pyar ke dunya chura kar le gai,
dil ki havelee mein koi darwaza tha toota howa

Barsaath mein deewar-o-dar ki saari thahreeren miti
dhoya bahuth mita nahi thaqdeer ka lika howa
sad Urdu poetry
Woh meri qasam letha nahi ilzaam samaja kar
aur de detha hain apni qasam inaam samaj kar

Woh jaantha hain mujhey  uss se kithni mohabbath  hain
phir bhi gufthgoo kartha hain anjaan samajh kar

Mainey usey apni dil ki dhadkan mein basaaya hain
aur woh dil mein raktha hani mujhey  mehmaan samajh kar
sad Urdu poetry
Agar usey hum se mohabbath  nahi thu na sahi
Magar Q  ilzaam detha hain  gumnaam samaj  kar.

Meney  apni saari khushiyaa  usss k naam kar di
Or woh humen pyaar kartha hain ehsaan samaj kar

Ek baath honton thak hai jo aayi nahi
Bas aankon se hain jhaankthi..
Thum se kabhi.. Muj  se kabhi,
Kuchh lafz hain woh maangth
Jin ko pehen ke honton thak aa jaaye woh
Aawaz ki baahon mein baahen daal ke itlaaye wo
Lekin jo ye ek baath  haih
Ehsaas hi ehsaas han
Khushboo si hain jaise hawa mein thairthi,
Khushboo jo be-aawaaz hain
Jis ka pathaa thum ko bhi hain
Jis ki khabar muj ko bhi hain
Dunya se bhi chhuptha nahi

these were the Hearted Sad Urdu Poetry stay with us for more updates in this article post.


Comments